BICHA KE FARSHE AZA, FATEMA KO YAAD KAROAlam sajaawo kisi be rida ko yaad karo (2) SIYAH KAPDE BADAN PAR HO SIRF IS GHAM MEIN, (2) Ruke na ankh se ansoo kabhi muharram mein, (2) Libaas-se Hazrate Zainul-e-ba ko yaad karo KABHI SABIL SE PANI PIYO TO YE KEHKAR, (2) Mai teri pyaas pe kurban husain ki dukhtar, (2)Kabhi sakina kabhi ba wafaa ko yaad karo GALE MEIN SHALE-AZA AUR HAATH SINOO PAR, (2) Alam uta ke chalo yun dahkte sholo par, (2) Jo bekasoo pe huwi us jafaa ko yaad karo JHULA JHULA-O KISI BE ZABAAN KA JAB BHI, (2) To yaad karna zara bekasi wo banu ki, (2) Kabhi Rubab ki aaho buka ko yaad karo GHAME HUSAIN MILA HAI TUMHE MUKADAR SE, (2) Sadaa Husain kay matam ki aaye ghar ghar se, (2) Husain Husain karo Karbala ko yaad karo WO JIS-NE DEEN KE KHATIR LUTA DIYA GHAR KO, (2) Khuda ki raah me jis-ne kataa diya sar ko, (2) Pado namaaz to us bay khataa ko yaad karo ALAM JO HAZRATE ABBAS KA UTA-THE HAI, (2) Dile batul se lakho duwae paate hai, Alam ke saye mein awo duwa ko yaad karo KABHI YE SHOCH KE TUM DEKHNA PHARE-RE KO, (2) Yahi to Zainab-E-Muztar ki aas thi logoo, Alam ko dekho to us berida ko yaad karo BAHEN KE SAMNE DOOLA BANE KOI BHAAYI, (2) Jo apne bhayi ka sehra na dekhne paayi Usi gharib behen ki sadaa ko yaad karo KHUDA NA KHASTA KISMAT YE DIN JO DIKHLAYE, (2)Kisi jawan ko jawani mein maut ajaaye, To hum shabihe Nabi ki kazaa ko yaad kare ***********************
ali wali de main ghar da ma faqeer ho jawan
Download File: https://tinurll.com/2vGDOT
TAREEQ KE KIRDARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO AY SHEH KE AZADARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO Darya ho samandar ho tum seep-o-gowhar ho Tum marze-qalandar ho sehra may gulay tar ho Tum bazme abuzar ho tum fikr ke qambar ho Tum hur ka qabeela ho tum john ka lashkar ho Ay gham ke lamdaro kis baath may tum kam hoRasta nahi manzil ho dhadkan nahi tum dil ho Mazloom ke tum haami har zulm ke qaatil ho Insaan ki azmath ke har baath may shaamil ho Zulmat ke samandar may tum noor ka saahil ho Matam ke talabgaro kis baath may tum kam ho Nisbath hai payambar se nisbath tumhay Hyder se Is nisbath-e-maula se tum door rahe shar se Tum aankh milate ho har waqt sithamgar se Jo dars mila tumko salman-se-buzar se Tum roop wohi dharo kis baath may tum kam ho Abbas ke parcham se seekhi hai wafadari Aankhon may tumhare hai imaan ki bedaari Kismath se mili tumko mazloom ki ghamkhari Zaalim ke liye abh-bhi tum taygh ho do dhari Mazloom ke gham khaaro kis baath may tum kam ho Zainab ki rida tumse karthi hai sawaal aisa Kis gham may bahaathe ho aankon se lahoo apna Kya ghar may tumhare bhi paighaam mera pahuncha Jis deen ke laashe pe kaam aaya mera parda Laaj uski rakho dekho kis baat may tum kam ho Kya dars liya tumne Akbar ki jawani se Kya seekha batao to karbal ki kahani se Math behko qateebo ke alfaaz-o-mawani se Mehfooz haqeeqath ko rakhna hai kahani se Ay ilm ke mayyaro kis baath may tum kam ho Masjid ke musalmano maidan ke bano ghazi Tum Hur ki tarha maango ek raat may azaadi Darbar may zaalim ke kyun bante ho faryadi Sajjad ne jis tarha deeware sitham dhaa-di ghaadi Deeware sitham ghaado kis baath may tum kam hoTum nahje balagha ki tafseer may dhal jao Hyder ki ghulaami ka andaaz to apnao Mazloom ko math chedo zaalim se na ghabrao Haq baath jo kehna hai suli pe bhi douh-raoo Allah ke naqqaro kis baath may tum kam ho Shabbir ke matam may imaan ki hararath hai Ye ayne ibadath hai ye ayne shariyyath hai Shabbir ke paykar may islam ki nusrath hai Khanjar ke talay dekho qaim jo ibadath hai Maula ke tarafdaro kis baath may tum kam ho Socho tho zara manzar tum shaam-e-ghareeban ka Ghar jalta tha jab ran may us waaris-e-quran ka Pamaal tha jab laasha ek besar-o-samaan ka Kirdaar magar kya tha us waaris-e-quran ka Samjho to samajhdaro kis baath may tum kam ho Pyasa tha labe dariya wo lakhte dil-e-Zehra Aankhon se barasta tha ghurbath may lahoo jiska Wo waqt bhi tha kaisa cheh maah ka ek bacha Haathon pe tadaptha tha pani ka na tha khatra Us waqt ke jaabaro kis baath may tum kam ho Halmin ki sada abh-bhi humse hai yehi kehti Shabbir ki nusrath ki dil may jo tamanna thi Kya abh-bhi hai wo baakhi jo chaah thi maula ki Awaaz wohi dil ki har saans may hai abh-bhi Jalte huwe angaaro kis baath may tum kam ho Tum raahay sadaqath se imaan ki hararath se Kirdaare imamath se afkaare risaalath se Tum shaukhe shahadath se maula ki inayath se Islam ki qidmath se mayyaare mohabbath se Tareek nayi likhdo kis baath may tum kam hoImaan hai azadaari hai deen ki bedaari Jarraari-o-karraari hai azme wafadari Himmath na agar haari zinda rahi khuddari Miljayegi sardari Hyder ki tarafdari Karke to zara dekho kis baath may tum kam ho REHAAN PE SARWAR pe maula ki inayath hai Nowhe ki azaano may matam ki ekhamath hai Sach poocho ko dono ki har saans ibadath hai Ay ehle aza tumko matham ki jo daawath hai Mu mod ke math jaao kis baat may tum kam ho ***********************
YA ALI ADRIKNI, YA ALI ADRIKNI Dasht may luti gayi aale Rasoole madani Ya Ali adrikni (2) Haaye be aab huwe qatl Hussaini Hassani Ya Ali adrikni, Ya Ali adrikni Dasht wo tapta huwa, dhup may aal-e-abaa Khaak pe baita huwa, kartha hai ro kar buka (2) Kaisi taqdeer may likhi thi gharibul wathani Shaah ka wo nusrathi, kaisa huwa jannati Zaanu-e-sibte Nabi, aur sar-e-Hurr-e-jari (2) Koi Hur jaisa nahi duniya may qismath ka dhani Fathima Zehra ka laal, pyaas se ran may nid-haal Aata hai aksar khayaal, kissay karoo ye sawaal (2) Maalik-e-kausar-o-tasnim ye tishna dahaniBacha bhi che-maah ka, pyaas say tadpa kiya Teer-e-sitham kya chali, chid gaya nanha gala (2) Teer-se pehlu aur Asghar ki ye ghuncha dahani Kehti thi rokar ye maa, haaye mera be-zubaan Haaye ye nanhi si jaan, toota na kyun aasman (2) Ye sitham aur mere asghar ki ye naazuk badani Haaye wo kadiyal jawan, gir pada khaakar sina Ro diya ye aasman, baap ka azm-e-jawan (2) Shah-e-deen khaynchte hai sinay say barchi ki ani Laash pe kehti hai maa, ay mere kadiyal jawan Saal tha attharawan, haaye ye zakhm-e-sina (2) Dekhiye aake jawan laal ki gul pai-rahani Sayyad-e-abraar hai, nargha-e-kuffaar hai Dar pay ye aazaar hai, teeron ki bouchaar hai (2) Jism Shabbir ka teeron se hai chalni chalni Zainab-e-aali muqaam, tumpe hai laakhon salaam Ummath-e-khairul anaam, khoob kiya ehteraam (2) Be-rida saani-e-Zehra huwi baazu rasani Ya mere mushkil kusha, khalq ke haajath rawa Aap pe mehshar fida, kardo ishaara zara (2) Sang reze abhi hojayenge laal-e-yamani *********************** 2ff7e9595c
Comments